Wednesday, 5 March 2014

Talent Hunt - Dakshayini - Aaj jaane ki - Farida Khanum

Talent Hunt - Dakshayini Songs

Song: Aaj jaane ki zid na karo
Original Singer: Farida Khanum


Play:
Lyrics:

Aaj jaane ki zid na karo 
Aaj jaane ki zid na karo 
Yunhi pehlu mein bethey raho 
Yunhi pehlu mein bethey raho 
Aaj jaane ki zid na karo 

Haaye mar jaayein ge 
Hum to lutt jaayein ge 
Aisi baatein kiya na karo 
Aaj jaane ki zid na karo 
Aaj jaane ki zid na karo 

Tumhi socho zara 
kyu\'n na rokein tumhey 
jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum 
jaan jaati hai jab uth ke jaatey ho tum 
tum ko apni qasam jaan-e-jaa\'n 
baat itni meri maan lo 
Aaj jaane ki zid na karo 
Aaj jaane ki zid na karo 


Waqt ki qaed mein zindagi hai magar 
Waqt ki qaed mein zindagi hai magar 
chand gharriya\'n yahi hain jo aazaad hain 
chand gharriya\'n yahi hain jo aazaad hain 
inko khho kar kaheen jaan-e-jaa\'n 
umr bhar na tarastey raho 
Aaj jaane ki zid na karo 
Aaj jaane ki zid na karo 

Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama 
husn aur ishq ki aaj me\'raj hai 
husn aur ishq ki aaj me\'raj hai 
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaa\'n 
rok lo aaj ki raat ko 
Aaj jaane ki zid na karo 
Yunhi pehlu mein bethey raho 
Yunhi pehlu mein bethey raho 

Aaj jaane ki zid na karo

click here for all Talent Hunt Songs

1 comment: